Monday 11 March 2019

Munafiq.

POST-1

*💢Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم KHAWARIJEEN KI EK SABSE AHEM NISHANI BATAYI WO PAYJAMA UNHCA PAHNTE HAI BAHOT TAKLE HOTE HAI.💢*

🌹Hadees :
Hazrat Abu Saeed Khudari رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Farmaatey Hain Ke Hazrat Ali رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Ney Yaman Sey Rasoolullah صلى الله عليه و آله وسلم Ki Khidmat Mey Chamrey Key Thailey Mey Bhar Kar Kuchh Sona Bheja, Jis Sey Abhi Tak Mitti Bhi Saaf Nahin Kee Gayi Thi.
Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه و آله وسلم Ne Woh Sona Chaar Aadmiyon Uyaina Bin Badar, Aqra’a Bin Haabis Aur Zaid Bin Khail Aur Chauthe Alaqma Ya Aamir Bin Tufail Key Darmiyan Taqseem Farma Diya.
Is Par Aap صلى الله عليه و آله وسلم Key As’hab Mey Sey Kisee Ney Kaha :
Un Logon Sey To Hum Zyada Haquedar They.
Jab Yeh Baat Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه و آله وسلم Tak Pahunchi To Aap صلى الله عليه و آله وسلم  Ne Farmaya :
Kya Tum Mujhey Amanatdar Shumaar Nahin Kartey ?
Haalaanki Aasmaan Waalon Key Nazdeek To Mein Aameen Hoo’n.
Is Ki Khabarein To Merey Paas Subah Wa Shaam Aatee Rahti Hain.
Raawi Ka Bayan Hey Ke

PHIR EK AADAMI KHARA HO GAYA JIS KI AANKHEY ANDAR KO DHANSEE HUWI, RUKHSAARON KI HADDIYAN UBHARI HUWI, OONCHEE PESHAANI, GHANI DAARHI, SAR MUNDA HUWA THA AUR WOH OONCHA TEHBAND BANDHEY HUWEY THA WOH KAHNEY LAGA
Aye Muhammad صلى الله عليه و آله وسلم !
Khuda Sey Darey, Aap صلى الله عليه و آله وسلم Ney Farmaya :
Too Halaak Ho, Kya Mein Tamam Ahley Zameen Sey Zyada Khuda Sey Darney Ka Mustahique Nahin Hoo’n ?
Phir Jab Woh Aadami Jaaney Key Liye Mura To Hazrat Khalid Bin Walid RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ney Arz Kiya, Ya RasoolAllah صلى الله عليه و آله وسلم !
Mein Us Kee Gardan Na Ura Doo’n?
Aap صلى الله عليه و آله وسلم Ney Farmaya :
Aisa Na Karo, Shayad Yeh Namazi Ho,  Hazrat Khalid RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ney Arz Kiya :
Bahut Sey Aisey Namazi Bhi To Hain Ke Jo Kuchh Un Ki Zubaan Par Hey Woh Dil Mey Nahin Hota.
Rasoolullah صلى الله عليه و آله وسلم Ney Farmaya :
Mujhey Yeh Hukm Nahin Diya Gaya Ke Logon Key Dilon Mey Naqab (Sendh) Lagaoo’n Aur Un Key Pait Chaak Karoo’n.
Raawi Ka Bayan Hey Ke Woh Palta To Aap صلى الله عليه و آله وسلم Ney Phir Us Ki Jaanib Dekha To Farmaya :

Us Ki Pusht Sey Aisey Log Paida Hongey Jo Allah عزوجل Ki Kitab Ki Tilawat Sey Zubaan Tar Rakheingey, Lekin Qur’an Un Key Halak Sey Neechey Nahin Utarega.
Deen Sey Is Tarah Nikal Jaeingey Jaisey Teer Shikaar Sey Paar Nikal Jaata Hai.
Mera Khyaal Hain Ke Aapصلى الله عليه و آله وسلم Ney Yeh Bhi Farmaya Ke Agar Mein Un Logon Ko Paoo’n To Qaumey Samood Ki Tarah Unhey Qatl Kar Doo’n.”

Reference :

📔(Sahi Bukhari Pg : 1581, Kitabul Maghazi , Baab 58 : Hazrat Ali Aur Khalid ibn Waleed ko Yamen Bhejne Ka Bayan, Hadees : 4094)
*SCAN Page Niche Hai*
English Translation jo Available hai Uska ye Reference Hai
📔(Sahi Bukhari, Vol : 03, Kitab No 64 Kitabul Magazi, Baab 61 : Hazrat Ali Aur Khalid ibn Waleed ko Yamen Bhejne Ka Bayan, Hadees : 4351)
📔(Sahi Muslim, Vol : 02, Kitab No 12 Kitabuz Zakat, Baab : Khawarij aur Unki Sifaat Ka Bayan, Hadees : 1064)
📔(Sahi Ibn Hibban Vol : 01 , Pg :205, Hadees : 25)

‼Note‼

Hadees E Paak ko Dekhe Aur Gaur Kare to aajkey Naam nihad Kalma Padhne waale Munafik Khwarij saamne nazar aate hai
01) Khoob Takle Honge
02) Pyjama TAKHNO se kaafi uncha Hoga
03) Ibadat Khoob Karenge
04) Quran bilkul Khoob padhenge Par halak se niche nahi utregi
matlab QURAN to padhnge par Samajh nahi aaygi QURAN ki aayat ko galat maane bayan karenge Quran Fehmi se talluk dur dur kaa nahi hoga.

📑Look Scan👇🏼



No comments:

Post a Comment