Friday 8 March 2019

Hayatunnabi/Nabi zinda hai. /ambiya e kiram zinda hai./sahaba e kiram/nek bande zinda hai.

DALIL QUR'AAN PAAK SE:


DALIL HADEES SHAREEF SE:




HADEES NO:1



#Hayatunnabi

hamare Nabi krim ﷺ ne baitul muqaddas me tamam ambeya e kram alaihissalam ki imamat ki 

References:

{Sunan nisayi 446}
{muazzamul ausat 3879}


















HADEES NO:1



huzur hamare salaam ko sunte hain. .

hadis.👇🏻

Aqeedah Hayatun Nabi Alaihissalam

Hadith number 6

‎ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﻣُﺤَﻤَّﺪُ ﺑْﻦُ ﻋَﻮْﻑٍ، ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﺍﻟْﻤُﻘْﺮِﺉُ، ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﺣَﻴْﻮَﺓُ، ﻋَﻦْ ﺃَﺑِﻲ ﺻَﺨْﺮٍ، ﺣُﻤَﻴْﺪِ ﺑْﻦِ ﺯِﻳَﺎﺩٍ ﻋَﻦْ ﻳَﺰِﻳﺪَ ﺑْﻦِ ﻋَﺒْﺪِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺑْﻦِ ﻗُﺴَﻴْﻂٍ،ﻋَﻦْ ﺃَﺑِﻲ ﻫُﺮَﻳْﺮَﺓَ، ﺃَﻥَّ ﺭَﺳُﻮﻝَ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻗَﺎﻝَ ” ﻣَﺎ ﻣِﻦْ ﺃَﺣَﺪٍ ﻳُﺴَﻠِّﻢُ ﻋَﻠَﻰَّ ﺇِﻻَّ ﺭَﺩَّ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻰَّ ﺭُﻭﺣِﻲ ﺣَﺘَّﻰ ﺃَﺭُﺩَّ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﺍﻟﺴَّﻼَﻡَ ”

SANAD:

Muhammad bin Awf bin Sufyan——» Haywat bin Sharih bin Safwan——» Hameed bin Ziyad——»Yazid bin Abdullah bin Qasayt——»Abu Huraira RadiAllahu Anhum 

MATAN:

Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Talaa Anhu se Riwayat Hain Ke Rasool Salallahu Alahi  Wassallam Ne Farmaya-” Jab Koi Mujhpar Salaam Bhejta Hai Toh ALLAH TA'ALA Ne Meri Ruh Wapis Luta Di Hui Hain Yaha Tak Ke Main Har Salaam Karne Wale Ke Salaam ka Jawab Bhi Deta hun."

References

From : Abu Dawud
Book : Al Manasik
Chapter : Qabroon ki zyarat karna
Hadith number : 2041

From : Ahmad Bin Hambal
Book : Al Musnad
Volume : 2
Page : 527
Hadith number : 10867

From : Tabrani
Book : M'ajam Al Ausath
Volume : 3
Page : 262
Hadith number : 3092 , 9329

From : Byhaqi
Book : Sunan Al Kubra
Volume : 5
Page : 245
Hadith number : 10050

From : Bayhaqi
Book : Sh'ab Al Emaan
Volume : 2
Page : 217
Hadith number : 5181

From : Shuab-ul-Iman
Volume : 02
Page : 217, 
Hadith Number : 5181, 4161

From : Ibn Rahawayh, 
Book : Al-Musnad, 
Volume : 01
Page : 453 
Hadith Number : 526

From : Mundhiri 
Book : At-Targhib Wat-Tarhib,  Volume : 02
Page : 326
Hadith Number: 2573

From : Haythami 
Book : Majma-uz-Zawa'id, 
Volume : 10
Page : 162

Imam Jalaluddin Suyuti r.a farmate hain:
Hadees me ''Radda'' ke lafz maujud hain, aur
''radda'' ka maayna hai ''àlà-àl-dàwam'' yani
permanently.
To yahan ye matlab nahi hua ki ALLAH TA'ALA
bar bar apne Mehbub ki Rùh lautata hai, aur
fir bar bar wapas leta hai,
balki ye matlab hai ki ALLAH ne apne Mehbub
ki Rùh ko lauta diya hai, aur ab wo zinda hain.

(Ambaul Azkiya Pg.11)

Iss Riwayat Ko In Muhaddiseen Ne Sahih Qarar Diya Hai

1.Wahabiyo Ke Sheikhul Albani Ne iss riwayat ko Hasan Kaha..

2.Imam Suyuti Kehtey he Iss Hadees me “Radda” Ke Lafaz maujood hain Aur “Radda” hameshgi ke liye hai..
[Al-Hawi lil Fatawi, 2/271,272]

3.Imam al-Nawawi (rah) farmatey hain ﺭَﻭَﺍﻩُ ﺃﺑُﻮ ﺩَﺍﻭُﺩَ ﺑﺈﺳﻨﺎﺩ ﺻﺤﻴﺢ.
Tarjumah- abu dawud ki yeh hadees ki sanad sahih he…
[Riyadh us-Saliheen, 1/255, hd.no: 1402]

4.Ghair Muqallid Qazi Shawkani Rah likhtey hain-
ﻭﺃﺻﺢ ﻣﺎ ﻭﺭﺩ ﻓﻲ ﺫﻟﻚ ﻣﺎ ﺭﻭﺍﻩ ﺃﺣﻤﺪ ﻭﺃﺑﻮ ﺩﺍﻭﺩ ﻋﻦ ﺃﺑﻲ ﻫﺮﻳﺮﺓ ﻣﺮﻓﻮﻋﺎً
Tarjumah: yeh riwayat Imam Ahmed Aur Abu Dawud rah ne Sahih aur
Marfu sanad se Abu
Hurraira raz se naqal kiya hai
[Neel al-Awsaar, 5/164]

Scan Page 👇🏻👇🏻




Hamara Durood Huzoor ﷺ Ki Bargah Me.


“Hazrat Abu Darda Radi'Allah'Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ Ne Farmaya :

Jum’a Ke Din Mujh Par Nihaayat Kasrat Se Durood Bheja Karo, Yah Youm-E-Mas’hood (Yaani Meri Bargah Me Farishton Ki Khusoosi Haaziri Ka Din) Hai.
Is Din Farishte (Khusoosi Taur Par Kasrat Se Meri Bargah Me) Haazir Hote Hain,
Jab Koi Shakhs Mujh Par Durood Bhejta Hai To Us Ke Faarig (Khatm) Hone Tak Us Ka Durood Mere Saamne Pesh Kar Diya Jaata Hai.

Phir Hazrat Abu Darda Radi'Allah'Anhu Bayan Karte Hain Ki Meine Arz Kiya (Ya Rasool Allah ﷺ
Aur Aap Ke Wisaal Parda Farmane Ke Baad (Kya Hoga)?

Aap Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya :
Haa (Meri Zaahiri) Wafaat Ke Baad Bhi (Mere Saamne Isi Tarah Pesh Kiya Jaaega Kyun Ki)
Allah Ta’ala Ne Zameen Ke Liye Ambiya-E-Kiram Alayhi'mussalam Ke Jismo Ka Khaana Haraam Kar Diya Hai.Phir Allah Ta’ala Ke Nabi Rasool Zinda Hote Hai Aur Unhe Rizq Bhi Ata Kiya Jaata Hai.”


Note Is Hadees Ko Wahabiyon Najdiyo Ke X Shia Imam (Shawkani Nayl-ul-Awtar, Jild-03, Pg-304) Me Bhi Likha Hai.

[Reference : Ibn Majah As-Sunan, Jild-01 , Page No-524, Hadith-No 1627]

Ibn e Majah Scan Page

📗📄👇🏻






HADEES NO:2



Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam hamare salam ka jawab dete hain: 
.
Hadees:  وَبِالإِسْنَادِ حَدَّثَنَا وَبِالإِسْنَادِ حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ حَنْبَلٍ ، حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ يَزِيدَ ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ قِسْطٍ ، أَخْبَرَهُ ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، أَنَّهُ قَالَ : " مَا مِنْ أَحَدٍ يُسَلِّمُ عَلَيَّ إِلا رَدَّ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ عَلَيَّ رُوحِي حَتَّى أَرُدَّ عَلَيْهِ السَّلامَ " .
 Hazrat Abu Huraira r.a se riwayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya jab tum me se koi shaks mujhpar salam bhejta hai to ALLAH meri rooh ko lauta deta hai, hatta ki mai uske salam ka jawab deta hu.

(Musirul Gharamis Sakin lil Ibn Jawzi) 

Is riwayat ke sare rawi siqah o sudooq wa Hasan hain.




HADEES NO:2



Ambiya Ka Baad Parda [Wisal Hajj Karna]

Hazrat Mujahid Rehmatullahe Alay Riwayat Karte Hai Hazrat Abdullah Bin Abbas Radi'Allah'Anhu Ne Farmaya
Nabi Kareem ﷺ Irshad Farmaya Maine Abhi Hazrat Musa Alayhissalam Ko Dekha [Hajj] Me Wadi Me Dakhil Hote ,Aur Talbiyah
Labbaik Allah'huma Labbaik Padhte Hue

Jab ki
Hazrat Musa Alayhissalam Ko Parda Kiya Huzoor ﷺ Ki Wiladat Se kai sau Saal   Pehle Ho Chuke the  Phir Bhi Aap Apne Jism e At'har Ke Saath Hajj Aada Farma Rahe Hai Jab Hazrat Musa Alayhissalam Ki Hayat Ka Ye Aalam Hai Toh Unke Imam Mustafa ﷺ Jane Rehmat Ki Hayat e Pak Ka Alam Kya Hoga

Kya Abhi Chamar Se Zyada Zaleeel Deobandi Ahle'hagees Gair Muqallid Najdi Salafi Yahi Kahege Ki Nabi Zinda Nahi Aur Mitti Me......?
Maaz'allah Astagfirullah Nauzubillah

Reference Book Jiska Naam Sunte Hi Aane Lagta Hai Wahabiyon Deolandiyon Jamatiyon Ko Bukhar.🤒

[Sahih Bukhari Sharif, Vol 2 Page 361
Hadees 1555]

Scan Page
📘📄👇🏻




HADEES NO:3



Ambiya Apni Qabro Me Zinda Hai Aur Namaz Padhte Hai

Hazrat Imam Abū Yaʿlā Muḥammad ibn al-Ḥusayn Ibn al-Farrāʾ Al Mutawaffa 458 Hijjri
Bayan Karte Hai

Ki Huzoor ﷺ Se Sahaba e Karam Ne Pucha Ki Ya Rasool Allah ﷺ Ambiya'on Ki Hayat Baad Wisal Parda Karne Ke Bare Me

Toh Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Ki Allah Haram Kar'diya Hai Qabr Ko Ki Wo Ambiya Nabiyon Ke Jisme Pak Ko Kha'ye Ambiya Apni Qabro Me Zinda Hote Hai Aur Namaz Padhte Hai.

Subhan'Allah
Ye Ambiyaon Ki Shan Hai Toh Socho Hamare Aaqa Ki Shan Ka Kya Aalam Hoga Jo Sare Nabiyon Ke Imam Hai.

Reference Book Musnad Abi Ya'la

Scan Page
📘📄👇🏻






HADEES NO:4
QABAR WALE BHI MADAD FARMATE HAI
                     
                     BUKHARI SHAREEF SE

HAZRAR MOOSA ALAIHISLAAM NE APNI WAFAAT SHAREEF KE SAIKDO BARAS BAAD 50 WAQT KI NAMAZ 5 WAQT KARWA KR IS UMMAT KI MADAD FARMAYI HAI


BUKHARI SHAREEF JILD 2 HADEES 1069




Hadees No:5.


🔮Hayatun Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

🌹Hazrat Anas رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hain Ke Rasool Allah ﷺ  Ne Farmaya :

*“Ambiya (عليھم الصلوۃ والسلام) Apni Qabro'n Mein Zindah Hain Aur Namaz Parhte Hain”*

📗{Imam Abu Ya’la رحمة الله عليه​ (Born-380 Hijri) Ne Apni Musnad Me Sahi Sanado Ke Sath Likha Musnad Abu Ya’ala Zild: 6, page : 699, Hadis : 3425
(Scan Page Is Attached In This Post)} 

👉🏻Aur Last Mein Wahabio/Ghair Muqallido Ke Peshwa/Jinhe Wahabi Jamat Wale Apna Sabkuch Maante Hain Shaikh Albani (Born-1914 AD) Ne Apni Kitab “Silsilatal Hadis Al-Sahihah Jild 02 Page#187  Hadees#621 Me Yahi Hadees Naqal Kari Aur Isey Sahi Likha Likha Hai

📑(Scan Page Zaroor Dekhen👇🏻



HADEES NO:6


ﻋَﻦْ ﺃَﻧَﺲِ ﺑْﻦِ ﻣَﺎﻟِﮏٍ ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ ﻗَﺎﻝَ : ﻗَﺎﻝَ ﺭَﺳُﻮْﻝُ ﺍﷲِ ﺻﻠﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ : ﺍﻟْﺄَﻧْﺒِﻴَﺎﺀُ ﺃَﺣْﻴَﺎﺀٌ ﻓِﻲ ﻗُﺒُﻮْﺭِﻫِﻢْ ﻳُﺼَﻠُّﻮْﻥ
َ
Tarjumah-Hazrat Anas Raz farmate hai ke Nabie Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad farmaya “Ambiya Alaihimussalam Apni Qabro me zinda hai aur namaze padhte hai”
(Musnad Abi Yaala Safa-658 Hd.no-3425, Majmuz zavaaid Hd.no-13812, Latifa Fi hayat al ambiya lil baihaqi safa 3, silsilatul hadees al sahiha lil Shaik Albani hd.no- 621)
Scan Page
Musnad Abi Ya’ala




Iss Riwayat ko in Muhaddiseen ne sahih kaha Hai..
1. Imam Haismi Rah
2. Imam Behqi Rah
3. Imam Ibne Hajar Asqalani
Rah
4. Imam Abu yaala
5. Imam Nawawi Rah
6. Imam Bazzar Rah Ne
7. Imam ibn Adi Rah
8. Ghair Muqallid Shaikh Naseeruddin Albani Rah
9. Ghair Muqallid Qazi Shaukaani Rah
10. Imam Jalaluddin Suyuti Rah
11. Gair Muqallid Irshaqul
Haqq Asri Rah
(Dekhein-Majmua zawaid jild8 safa 387, Hayatul ambiya lil baihaqi safa
3, Musnad abu yaala jild 6, Silsilatul Hadees Al Sahiha jild 2 safa 187 hd.no-621, Al Kaamil le ibn Adi jild 3
Fathul Baari sharh sahih bukhari jild 6 safa 602,603, Neil ul Ausaar jild 5 safa 101, Al Hawi Lil Fatawa Lil Suyuti Jild 2 safa 264, Faizul Qadeer Jild 5 Safa 663)
Scan Page
Majmua Az Zawaid Lil Imam Haismi


Scan Page
Hayatun Ambiya Lil Baihaqi



Scan Page
Fathul Baari Sharh Sahih Bukhari Lil Hafiz Ibn Hajar Asqalani




Scan Page
Silsilatul Ahadees Al-Sahiha Lil Allama Naseeruddin Albani






GHAIR MUQALLIDEEN KE AITERAAZAT:
Ghair Muqallid Awwam Kehti Hai Yeh Riwayat Zaeef Hai Kyuki Isme Ek Raawi Hai “Hajjaj Ibn Al-Aswad” Jo Zaeef Hai Aur Imam Zehbi (Rah) Ne Iss Riwayat Ko Hajjaj Ke Wajah Se Zaef Kaha Hai
[Dekhiye-Meezan al-Itedaal Liz Zehbi]
JAWAAB NO. 1
Yahan Imam Zehbi (Rah) Ko Wahem Hua Hai Asal Me Yeh Raawi Ka Naam Hajjaj Ibn Abi Ziyad Al-Aswad Hai Yeh Jinko Ziqq al-Asal Kaha Jata Hai Aur Yeh Basri The..
¤ Chunanche Hafiz Ibn Hajar Asqalani (Rah) Ne Imam Zehbi (Rah) Ka Radd Kartey Huye Farmatey Hain-“Yeh Hajjaj Ibn Abi Ziyad Al-Aswad Basri Hain Jinko Ziqq al-Asal Kehtey The, Aur Yeh Basra Ke Rehne Wale The… Nez Likhtey Hain Ke-
* Imaam Ahmad Bin Hanbal (Rah) Ne Inko Siqaah Aur Parhezgar Qarar Diya Hai..
* Imaam Yahya Bin Ma’een (Rah) Ne Inko Siqaah Kaha..
* Imaam Abu Hatim Ar-Raazi (Rah) Ne Inko Riwayaton Ko Kaam Dene Wala (Hujjat) Kaha..
* Imaam Ibn Hibban (Rah) Ne Inko Kitaab al-Siqaat Me Shumar Kiya Hai..
Phir Likhtey Hain Imaam Baihaqi (Rah) Ne Iss Hadees Ko Apni Kitab al-Hayat Al-Ambiya Safa 3 Me Laaye Aur Sahih Bhi Qarar Diya Hai Aur Issi Tarah Imaam Al-Munawi (Rah) Ne Fayd Al-Qadeer Me Riwayat Ko Sahih Qarar Diya Hai..
[Al-Leesan al-Meezan Lil Ibn Hajar.
Fathul Baari Sharh Sahih Bukhari, Jild: 6, Safa: 602,603]
JAWAAB NO. 2
Aur Iss Hadees Ki Mazeed Shuwahid Bhi Maujood Hai Jisko Imam Muslim (Rah) Ne Sahih Me Naqal Ki Hai Jisse Pata Chalta Hai Ke Ambiya Qabr Me Namaaz Parhtey Hain Aur Zinda Hain…
ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﻫَﺪَّﺍﺏُ ﺑْﻦُ ﺧَﺎﻟِﺪٍ، ﻭَﺷَﻴْﺒَﺎﻥُ ﺑْﻦُ ﻓَﺮُّﻭﺥَ، ﻗَﺎﻻَ ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﺣَﻤَّﺎﺩُ ﺑْﻦُ ﺳَﻠَﻤَﺔَ، ﻋَﻦْ ﺛَﺎﺑِﺖٍ، ﺍﻟْﺒُﻨَﺎﻧِﻲِّ ﻭَﺳُﻠَﻴْﻤَﺎﻥَ ﺍﻟﺘَّﻴْﻤِﻲِّ ﻋَﻦْ ﺃَﻧَﺲِ ﺑْﻦِ ﻣَﺎﻟِﻚٍ، ﺃَﻥَّ ﺭَﺳُﻮﻝَ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻗَﺎﻝَ ” ﺃَﺗَﻴْﺖُ – ﻭَﻓِﻲ ﺭِﻭَﺍﻳَﺔِ ﻫَﺪَّﺍﺏٍ ﻣَﺮَﺭْﺕُ – ﻋَﻠَﻰ ﻣُﻮﺳَﻰ ﻟَﻴْﻠَﺔَ ﺃُﺳْﺮِﻱَ ﺑِﻲ ﻋِﻨْﺪَ ﺍﻟْﻜَﺜِﻴﺐِ ﺍﻷَﺣْﻤَﺮِ ﻭَﻫُﻮَ ﻗَﺎﺋِﻢٌ ﻳُﺼَﻠِّﻲ ﻓِﻲ ﻗَﺒْﺮِﻩِ ”
Tarjumah: Anas Bin Malik (Raz) Bayan Karte Hain Ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wassallam Ne Farmaya: Meraj Ki Raat Mein Musa Alaihesalam Ke Paas Aaya, Ek Riwayat me hai- Mera Kaseeb Ahmer Ke Paas Se Guzar Hua, Daraan Halaan ki “Musa Alaihesalam Apni Qabr Me Khade Hue Namaz Padh Rahe The..”
[Sahih Muslim, Kitabul Fazail, Hd.no: 5858, 5859.
Sunan Nasai, Kitab al-Salaah, Baab: Zikr Salaat Nabi Allah Musa Alaihisalam, Jild: 2, Safa: 237, Hd.no: 1630-1636.
Sunan al-Kubra Lil Nasaai, Kitab al-Salaah, Baab: Zikr Salaat Nabi Allah Musa Bil Laiyl, Jild: 2, Hd.no: 1330]
Scan Page:




HADEES

“Hazart Saeed Bin Abdul Azeez Se Riwayat Hai Ki Jab
Ayyaam-E-Hurra (Jin Dinon Yazeed Ne Madinah Munawwara Par Humla Karwaaya Tha) Ka Waaqia Pesh Aaya To Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Masjid Me Teen-03 Din Tak Azaan Aur Iqaamat Nahin Kahi Gaee Aur Hazrat Saeed Bin Musayyab Radi Allahu Ta’ala Anhu (Jo Ki Jaleelulqadr Taaba’i Hain Unhone Masjid-E-Nabawi Me Panaah Lee Huee Thi Aur) Unhone (Teen-03 Din Tak) Masjid Nahin Chhodi Thi Aur Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Qabr Mubaraak Se Namaz Ke Waqt Azaan ka Awaaz Suna kartey The. Aur us Waqt Masjid Nabwi Mein koi Nahi Hota Tha..

1️⃣(Darmi As-Sunan, Jild-01, Pg-56, Hadith-93)

2️⃣(Khatib Tabrizi Mishkat-ul-Masabih, Jild-02, Pg-400, Hadith-5951)

3️⃣(Suyuti Sharah Sunan Ibn Maajah,  Jild-01, Pg-291, Hadith-4029)

4️⃣(Dalailun Nabuwwa, Ibne Naeem, jild: 2, pg:567)

5️⃣[Majmua Al Fatawa Ibn Temiyya jild 11, page 280-281]

Ibn Jawzi ne bhi Saeed bin Musayyib se Harrah ka waqeya riwayat kiya hy ki Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ki Qabr  se Azan wa Iqamat ki awaz aati thi.

6️⃣(Jazbul Quloob Ila Diyaril Mehbub Pg.43)

Scan Pages 👇🏻





DALIL BUJURGO SE:


*Maut (Death) Ki Haqiqat*

_Wahabi Ahle'hagees Najdi Kehte Hai Ki Jab Musalman Marta To Hamesha Ke Liye Khatm Ho Jata Hai Wagera Wagera_ *Ye To Yahudi i mean Wahabi Dharam Hai* Ab Islam Is Bare Me Kya Kehta Hai Aaiye Dekhte Hai?

*Mashoor Tabai Hazrat Bilal Bin Saad رحمۃ اللہ علیہ Ne Apne Waaz (Speech) Me Farmaya Aye Hamesha Baki Rehne Walo Tum Khatam Ho Jane Ke Liye Paida Nahi Kiye Gaye Tum Hameshgi Ke Liye Paida Kiye Gaye Ho Aur Tumhe Ek Ghar Se Dusre Ghar (Qabr) Muntaqil Kiya Jayega*

*Hazrat Imam Suyuti Al Mutawaffah 911 Hijri Likhte Hain*
_Ulama e Kiram Farmate Hai Maut Bilkul Be Namu Nishan Hone Aur Mit Jane Ka Naam Nahi Balke Jism Ke Saath Ruh Ke Talluq Ka Khatm Ho Jana Ruh Wa Jism Ke Beech Judai Aur Ek Ghar Se Dusre Ghar Me Muntaqil Hone Ka Naam Maut Hai_

Reference Book
*Sharah us-Sudoor* [English]
Page *66*
*Scan Page*
📗📄👇🏼




*Siddiq-e-Akbar radi Allah tala anhu ki wasiyat*

Sayyiduna Siddiq-e-Akbar RadiyAllahu Anhu Ne Ba-Waqt-e-Wisaal Sahaaba-e-Kiraam Ko Waseeyat Farmaayi K "Meri Wafaat Ke Baad Jab Namaz-e-Janaaza Se Faarig Ho Jaao To Mujhe Rowza-e-Nabawi SallAllahu Alaihi Wa Sallam Ke Saamne Le Jaakar Pahle -
السلام عليك يا رسول اللّٰه
(Assalamu Alayka Ya RasoolAllah) Kahna Aur Phir Arz Karna -
• Abu-Bakr Haaziri Ki Ijaazat Chahte Hai. Pas Agar Darwaaza Khul Jaaye To Mujhe Rowza-e-Paak Mai Dafan(दफन) Karna Aur Darwaaza Na Khule To Jannat-ul-Baqee' Mai Le Jaana"

🌴 *Chunanche* Jab Sahaaba Ne Bil-ittefaaq Siddiq-e-Akbar RadiyAllahu Anhu Ki Waseeyat Par Amal Kiya To Rowza Sharif(Huzoor Ke Rowza Sharif) Ka Qufl(ताला,Lock) Gir Gaya Aur Darwaaza Khul Gaya Aur Aawaaz Aayi K "Pyaare Ko Pyaare Ke Paas Pahuncha Do."

*Note* : Is Aham Tahqeeqi O Taarikhi Waqia Ko Imam Suyuti Ne Khasaais-e-Kubra,Jild-3,Safha-408.

Mulla Jaami Ne Shawahid-un-Nabuwwat,Safha-241.

Imam Raazi Ne Tafseer-e-Kabeer,Jild-21,Safha-87.

Allama Safoori Ne Nuzhat-ul-Majaalis,Jild-2,Safha-300.

Allama Ali Halbi Ne Seerat-e-Halbiya,Jild-2,Safha-488.

*Ashraf Ali Thanvi Deobandi Ne Jamaal-ul-Auliya Me Aur Nawaab Siddiq Hasan Gair-Muqallid Ne Takreem-ul-Momineen Me Naql Kiya Hai*

Is Siddiqi Waqia Ki Tarah Daur-e-Farooqi(Farooq-e-Aazam Ke Daur) Main Bhi Ba-Waqte Qahat-Saali(काल पड़ जाने के वक़्त) Hazrat e Bilal Muzni Sahabi RadiyAllahu Anhu Ne Nabi-Kareem SallAllahu Alaihe Wa Sallam Ke Zinda O Waseela Hone, Aapke Sun'ne Aur Haajat-Rawaai Farmaane Ke Aqeeda Se Qabr-e-Anwar(Nabi Ki Qabr Sharif) Par Haazir Hokar Arz Ki "Ya RasoolAllah" Ummat Ki Halaakat Ka Khatra He, Allah Se Baarish Ki Dua Kare.

[Fat'Hul-Baari Sharah Bukhari,Jild-3,Safha-148.

Wafa-ul-Wafa,Safha-1374.

Al-Bidaaya Wan-Nihaaya,Jild-7,Safha-92.

Qurrat-ul-Aa'eneen,Safha-19,Az-Shah Wali-yullah Muhaddise Dehalvi.

Musannaf ibne-Sheba,Jild-12,Safha-31]

Hayaat Baad-Al-Wafaat(Huzoor Ke Maut Ke Baad Waapas Zinda Hone) Ke Dalail Ki Bajaaye Sirf Wafaat Par Israar Saraa-Sar Munafiqat, Dhoka O Bad-Dayaanati Aur Shaan-e-Risaalat Ki Mukhalifat Hai.






DALIL AHLE HAGISO SE:



Post:1 

Hazrat sayadna Hamza Radi Allah tala anhu ka #baad_wisaal qabre Anwar se salam ka jawab dena. 

Ahle hagiso k maotabar Ibn kaseer se. 







*Huzoor ﷺ Zinda Hai Najdiyo Ke Imam Se Saboot*

*Wahabion Kay Imam Qazi Shaukani X Shia Kehta Hai “Huzoor ﷺ Wafaat Kay Baad Apni Qabr Mein Zinda Hain*
_Jaisa Ki Hadees Mein Aaya Hai Ki Ambiya Apni Qabron Mein Zinda Hain Aur Behqi Nay Isko Sahih Kaha Hai Aur Is Masle Mein Unhone Ek Risala Bhi Likha Hai_
*_Ustad Abu Mansoor Al Bagdadi Farmate Hain Ki Hamare Ashab Mein Muhaqiq Wa Mutkallamin Ka Irshad Hai Ki Huzoor ﷺ Wafaat Parda Karne Kay Baad Zinda Hain Unka Bayan Khatam Howa Aur Iski Ta,eid Ye Bhi Karti Hai Ki Shuhada Zinda Hain Aur Qabro Mein Unko Rizq Diya Jata Hai Aur Huzoor ﷺ Bhi Shahid Hain_*

*Reference Book*
Neel ul Awtaar kitab ul Manasik Page 319
*Scan Page*
📘📄👇🏻



POST :2


Jume ki Raat #Ruho Ka Gharo Me Aana

Lakhi Khandaan K Mashoor Ghair Muqallid Hafiz Muhammed Lakhwi Sab Likhte Hai :

Ek Hadees Me Aata Hai Ke Jume Ki Raat Ko Maghrib Ke Baad Ruh Apne Rishte Daaro Ke Gharo Me Ya Jaha Uski Waaqifuyyat Hoti Hai Waha Aati Hai.

(Ahwaal E Akhirat : Safa 17)






_____________________________________________



NEK BANDE ZINDA HAI.

POST:1

*💢Sahaba Auliya رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم Apni Qabro Me Zinda Hai Aur Apni Qabro Me Quran Ki Tilawat Bhi Karte Hain.💢*

🌹Hazrat Abdullah Bin Abbas رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم Riwayat Farmate Hain Ki Huzoor ﷺ Ke Kisi Sahabi (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه) Ne Ek Qabr Par Khaima Lagaaya Unhein Maaloom Na Tha Ki Yeh Qabr Hai Achaa'nak Pata Chala Ki Yeh Qabr Hai Aur Us Ke Andar Koi Aadami Surah Mulk Padh Raha Hai Yaha’n Tak (Us Sahaabi (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه) Ne Suna Ki) Uss Padhane Waale Ne (Qabr Ke Andar) Mukammal Soorah Mulk Padhi (Yeh Sun Kar) Woh Sahabi (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه) Huzoor ﷺ Ki Khidmat Me Haazir Huwe Aur Arz Kiya Ya Rasool Allah ﷺ!
Mein Ne (Bhool Kar) Ek Qabr Par Khaima Lagaaya Aur Mujhe Yeh Khayaal Nahin Tha Ki Yeh Qabr Hai Achaanak Suna Ki Ek Aadami Qabr Me Soorah Mulk Padh Raha Hai Yaha’n Tak Ki Mein Ne Suna Us Ne Mukammal Soorah Mulk Padhi.
*Huzoor ﷺ Ne Farmaya :*
Yeh (Surah e Mulk Azaabe Qabr Ko) Rokne Waali Hai Aur Azaabe Qabr Se Nijaat Dene Waali Hai.”

*رواه الترمزي والبيهقي.*
*وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.*

*📚Refrance Book📚*

📒Bayhaqi Shuab-ul-Iman,
📖Jild *-2* Raqam *-2510,*

📑Scan Page👇🏻





DALIL DEOBAND SE.



POST:1





#ambiyazindahai db

حضورﷺ نے تھوڑی دیر کیلئے موت کا مزہ چکھا اور پھر اللّٰه تعالیٰ نے آپﷺ کو زندہ کردیا اور زمین پر آپﷺ کے جسم کو کھانا حرام کردیا؛
پس اب آپﷺ حیاتِ جسمانی کے ساتھ زندہ ہیں ـ

(زیارت نبیﷺ بحالتِ بیداری جلد دوم ص ۲۷ محمد عبدالمجید صدیقی ایڈوکیٹ دیوبندی)








POST :1

Tablig log ambiya ko maazALLAH murda kahte h ,aur kahte h ki wo sunte nh etc lekin jab baat unke ghar ki aa jaye to dekho unke ulma k bare me kya likhte hai.


*💢KYA MARNE KE BAAD PEER SAHAB APNE JISM KE SATH MADAD KARNE AA SAKTE HAI.❓💢*

✍🏻...Padhe Ulma e Devbandh Ki Zubani⤵

📝Marne ke baad Molvi kasim nanutavi apne physical jism (body) ke sath Madrasa dev band main tashrif awary.

Yes     yes     yes.

Ab souch rahe hoge ki kaise ? hum kiya keh rahe hai ?.

But yeh baat tu khud ASHRAF ALI THANVI ne apni book *"HIKAYAT AULIA"* yani arwaah Salasa main likha hai.pehle dekh lo padh lo thqeeq kar lo aur jab hamari baat sahi paao tu in Tabligi / devbandh se zaror pouchna ki yeh kaise ?

Huwa u ki dar ul uloom dev band main kuch ulma ka apas main ikhtalaf hogaya .
is ikhtalaf (dispiute) main waha ke principle MOLVI MEHMOOD UL HASAN bhi involved hogaye.is ke age ka waqia qari taiyyab zabani jo unhe ne khud book main likhte hai...✍🏻

" Ek baar Subha baad namaz fajar Molvi rafi udeen ne MOLVI MEHMOOD UL HASAN ko apne hujre (room) main bulaya.aur darwaza band kar ke kaha ki mera libas ( dress ) dekho.
Molana mehmood ul hasan ne dekha toh woh dress ek dum bheega huwa thaa.tab qari tayyab ne bataya ki abhi abhi *"MOLVI QASIM NANUTAWI" ( jo us waqt mar chuka the) ZAHIRI JISM ( PHYSICAL BODY) ke sath thashrif laaye.jis se main paseena paseena hogaya.aur bola ki MEHMOOD AL HASAN ko keh do ki woh is ulma ke jhagde main na padhe".*

✍🏻Book name⤵

📒HIKAYAT AULIA.
📖Hikayat no : 247.
🧾Page no 233/234.
✍🏻Writter : Ashraf ali thanvi.
Zakariya book depo devband saharanpur.


*‼NOTE‼*

Devbandh Molvi marne ke baad bhi tashrif late hai aur madad karte hai.

Ab aap thande dimag aur imandari se souchiye.

Maslak E haq yani maslak e Aala hadrat ke aqeedo ko manne wale par kufr w shirk ka lable lagane walo ke khud ke kiya aqeede hai ?

Is ibarat se ulma e devbandh ke kiya aqeede sabit hote hum unhi se pouchte hai.

▶1)  *Molvi kasim nanutawi mar chuke the us ko madrase ke jhagde ka ilm (Geb ka ilm) kaise ?*

*▶2) Us Ki Roh main itna powar kaise ki woh khud masla hal karne aur apni salah dene madrase devband main present hogaye aur zinda logo se baat ki aur naseehat bhi ki ? Kaise ?*

Ab sawal yeh uthta hai ki jis kisi bhi shaks ka dimag sahi ho toh woh bager souche nahi reh sakta HUZUR NABI E KAREEM ﷺ ke liye gebi ilm w ikhtayarat ka inkaar karne wale aisa manne walo par kufr w shirk ka tag lagane walo wohi same aqeeda Apne " MOLVI" ke haq main manna kaise ISLAM w IMAAN ban gaya ?

Kiya is se sabit nahi hota ki  "DEVBANDH" Ki tamam behes kufr w shirk sirf  is liye hai ki ambiya عليه السلام Aur aulia رحمةاللّٰه تعالىٰ عليهم ke khilaf ke akhtiyar ko kam bataya jaye.

But jab khud ke molviyo ki baad aaye tu woh sab Sabit karte hai jo AMBIYA عليه السلام W AULIA رحمةاللّٰه تعالىٰ عليهم ke taalluk se kahne par yeh kufr w shirk hota hai.

Sachayi  khuli kitab ke sath aap ke samne.

📑Scan Page👇🏻





POST:2


#waseela #baad_wisal 

*वफ़ात के बाद मौलवी क़ासिम नानोतवी का अपनी जिस्म के साथ आना!*

मौलवी अपने जिस्म के साथ क़ब्र से उठ कर मदरसे में दो मौलवियों का झगड़ा सुलझाने आ गए,
फिर यह शिर्क क्यों नहीं हुआ ???

अशरफ अली थानवी  
{किताब अरवाह ए सलासा सफा 193,194}








POST:3


Deobandi Qabar Poojari

Part 2

Ashraf Ali Thanvi Ne Apne Peer Ki Qabar Se Wahi  Faida Uthaya Jo Apki Haalat-E-Hayat Se Uthata 

Apne Deobandi Ko Kehte Hue Suna Hoga Ke Mazar Per Ja Kar Sirf Waseela Maange Lekin Apke 

Ashraf Ali Thanvi Toh Chupe Rustam Nikle Woh Toh Jate Bhi They Waseela Or Madad Bhi Maangtey…!! 

 Ashraf Ali Thavi  Ke Peer-O-Murshid Ek Martaba Aur  Miyana Masjid Ke Pas Rakhwa Diya, Farmate Hain Mai Bhi Hazir-E-Khidamt Sharif Tha To Hazrat Ne Farmaya Tum Mujarrad Theaur Hafiz Zaamin Wa Molvi Sheikh Muhammad Sahab Iyaldar. Mera Irada Tha Ki Tumse Mujahidah Wa Riyazat Lunga. Masiyyat-E-Baari Se Chaarah Nahi Hai. Umr Ne Wafa Na Ki. Jab Hazrat Ne Ye Kalima Farmaya To Mai Patti Miyana Ki Pakad Kar Rone Laga To Hazrat Ne Tashfi Di Aur Farmaya Ki 

Faqeer Marta Nahi Bas Ek Makan Se Dusre Makan Me Inteqal Karta Hai. Faqeer Ki Qabr Se Wohi Faida Hasil Hoga  Hai Jo Meri Zindagi Zahiri Me Hota Tha. Farmaya Hazrat Sahab Ne Ki Maine Hazrat Ki Qabr Muqadaas Se Wohi Faida Uthaya Jo Apki Haalat-E-Hayat Se Uthata Tha.

(Imdadul Mushtaq Ilal  Ashraful Akhlaq. Pg.111)

Scan Page








No comments:

Post a Comment