Monday, 24 October 2022

Kharji Log/wahabi/deobandi

 Post:1


*NAMAZ TABHI KAAM AYEGI JAB AQEEDA DURUST HO.*


Hadees me kharjiyo ki jo nishaniya bataayi gayi hai wo ye hai👇


*Hadees Shareef:*


 Qur'an padhne wale honge.


{Sahi Bukhari}



*Hadees Shareef:*


Bahot Ibaadat guzar honge,unki ibaadato Namaaz Roze ko dekh kar tum apni ibaadato Namaaz Roze ko Kam janoge. 


{Sunan Ibne Majah}


Note: Upar ki dono hadees se pataa chalaa ke kisi ke zahiri namaaz,roza,tilaawate Qur'an wa ibaadat ko dekh kar dhoka nahi khana chahiye.Asal cheez hota hai aqeeda agar ye thik na ho to sab bekar. 


Scan👇








Tuesday, 11 October 2022

Eid /meaning of Eid in urdu

 Urdu ki mashhur Dictionary, Firozul Lughat me

eid ke teen maane likhe hain,


1: Jo bar bar aaye, 

2: Musalmano ke jashn ka roz, 

3: Nihayat khushi.  


(firozul Lughat Pg.488)


Scan Page:👇🏻👇🏻




Saturday, 24 September 2022

Shaikh Abdul Qadeer Jilani Ka aqeeda | Gous E Azam

 Post No :1 


#ambiyazindahai 


Jab chahe jaha chahe aa jaa sakte hai 


Ghaus E Azam Shaykh Abdul Qadir al-Jilani Alayhi Rahma Ka Aqeedah Har yaum-e-Arafat Mein Tamaam Ambiya Tashrif Laate Hain Aur Hadees Ki Sanad Bhi Bayan Ki 👍 


Book :- Guniyatul Talibeen 

Writter:- Shaykh Abdul Qadir al-Jilani Alayhi Rahma 

Published:-[Darul Ilm Mumbai]

Urdu translate:- by Gairmuqallid Hafiz Mubashir hussain Lahori

Safa :- 426


Ghaus E Azam Shaykh Abdul Qadir al-Jilani Alayhi Rahma Hadees ki sanad bayaan kar rahe hain 


farmatey hain;-

Sanad


Ibn Hibatullah  — >Ahmed Bin Hassan — >Hussain Bin Imran  — >Abu Qasim — >Abu Ali — >Ammar Bin Ahmed 

— >Muhammad Bin Mahdi  — >Ibn Jari— >Ibn Atta  — > Ibne Abbas RadiAllahu Anhum 


Rasool Allah sallallaho Alahi wasallam ka Irshad Hain 

"Hazrate ilyas aur Hazrate khidr Alaihisalaam Har saal Makka Mein Jama Hote Hain Aur wo Ek Dusre Se Kehte Hain "Bismillahi Mashallah" kaho Bhalaayi Allah ki Tarf Se Hain


Usi Ghunyat al Talibeen

Ghaus E Azam Shaykh Abdul Qadir al-Jilani Alayhi Rahma

dusri sanad bayaan karte hain


Sanad :-


 Hibatullah  — >Hassan Bin Ahmed   — >Abu Talib — > Ismail — > Ibne Abbas   — >Ibn Ishaq  — >Abdulla Bin Hassan Wo  — >Apne Walid se, unhone ne  — >Apne Dad se Wo— >Hazrat Ali Radiallahutala Se Farmate Hain


"Har yaum-e-Arafat Mein Hazrate jibril Alaihisalaam,Hazrate Mikael Alaihisalaam,Hazrate Israfil Alaihisalaam aur khidr Alaihisalaam Jama Hote Hain Aur jibril Alaihisalaam Farmatey Hain Allah k Marzi Ke Bagair Kuch Nahi Kiya ja Sakta

Khidr Alaihisalaam Jawab Dete Hain" 

Jo Allah ko Manzoor Hain Wahi Hota Hain 


📚Scan page






Sunday, 18 September 2022

Taburrukat ko chumna kaisa? Nalain paak ko vhumna kaisa?

 Nabi ﷺ k #nalain Sharif ko chumna jaiz

Bais e ajar wagairahum 


Dayabana k ghar se

Moulvi Taki ali usmani, Deoband. 

....


Scan👇




Tuesday, 13 September 2022

ALLAH KE BARE JAANE |AQEEDA E TOUHID

 Kya ALLAH Ta'ala Har Jagah Hai ?


Bachpan Se Sunte Aur Pade Aaye Hai Ke Allah Ta'ala Har Jagah Maujood Hai, Halake Yeh Jumla Aur Aisa Aqeedah Kufr Hai.

Kyonke Kisi Bhi Zaat Ke Liye Jagah Sabit Karne Ke Liye Uska Jism Hona Zaroori Hai, Jabke Allah Ta'ala Jism Se Paak Hai, 


Lihaja Wo Daye Baye, Uper  Niche, Aagey Pichhe Tamaam Jehaton Se Bhi Munza Hai. Pas Yun Na Kahein Ke Wo Har Jagah Maujood Hai, 


Balke Yeh Kaha Jaye Ke "Wo Maujood Hai Ya Yun Kahein Ke "Uska Ilm Aur Uski Qudrat Har Shaye Ko Muhit Hai" 

Ya Phir Yeh Kah Lein Ke "Usne Apne Ilm Aur Qudrat Ke Aitbaar Se Har Chiz Ka Ihata Kiya Huwa Hai"


Ya'ani Kainaat Ka Har Zarra Uske Ilm Me Hai Aur Har Zarre Me Tasrruf Par Wo Qadir Hai, Wo Jaisa Chahe Banaye, Jaise Chahe Karde Uski Marzi.


▪️(Khulasa Fatawa E Razwiyah  Jild 14 Safah 618_622)

Friday, 12 August 2022

Yajid Lanati

 👹Ubaydullah Ibn Ziyad Ka Kabool Naama Usne Jo Kuch Kiya Hai Wo Yazeed kay Farmaan Pe Kiya Hai


Aqsar Wahabi Nasbi Ghair Muqallid logo ko aapne dekha hoga jab wo Yazeed ko bacha Nahi paate wo ye kahke bachane me lag jaate hai Kay Imam Hussain Ibn Ali Aur Unke Ashaab ko Shaheed Yazeed ne to nahi kiya ye jo kuch huwa hai Wo Ibn Ziyad ne kiya hai Yazeed iska Jimmedar nahi wo to Sham me tha.  


DALEEL 1⃣


Wahabiyo Kay Nazdeek bade Motebar Hafiz Ibn Kathir likhte hai 


“Yazeed ne Ibn Ziyad Ko Hukm Diya Tha jab tum Kufa pahuch Jaana to Muslim Ibn Aqeel Ko Qatl kar Dena”


(Al Bidayah Wan Nihaya Vol : 08, Pg : 152)


DALEEL 2⃣


Imam Jalaludin Suyuti Naql Karte hai 

“Yazeed Ibn Mauwiya Ne Apne Hukmaran Ubaydullah ibn Ziyad ko Imam Hussain Ibn Ali Kay Qatl ka Farmaan likha tha”


(Tarikhul Khulfa Pg : 125)


DALEEL 3⃣


Abi Hanifah Ahmad Ibn Dawood Dinwari ne Apni Kitab me Naql kiya hai

“Ubaydullah ibn  Ziyad Kahta Hai Maine Hussain ko Qatl kiya kay unhone Hamare Imam Yazeed kay khilaf bagawat ki aur Mere Imam Yazeed ne mujhe Paigam bheja kay Hussain ko qatl karo, to agar Hussain ka qatl karna Gunaah hai to iska Jimmedar Yazeed hai”


(Al Akhbar Al Tawaal Pg : 278-279) 


DALEEL 4⃣


Jab hazrat hussain radi Allah anho ka sar laya gia to yazeed chharri se thhoker dene laga, sufiyan ne bayan kia hai ke mujhe bataya gia hai ke hassain is k ba'd ye shair parhta tha:

‪Samiya ki nasal ki ta'adad sangraizoon ki manind ho gai hai aur Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ki beti ki koi nasal nhe hai.‬


‪Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 247‬


📚Scan Page Of Al Bidayah Wan Nihaya 


DALEEL 5⃣


 *Yazeed Paleed, Imam Ibn e Jauzi رحمة الله عليه ki nazar maiN*


 Hazrat Imam Ibn e Jauzi رحمة الله عليه Yazeed Ky Taluk Se Farmate Hain :

*"Mujhe Ibne Sa'ad Aur ibne Ziyad Ki Harkaat Per itna Tajub Nahi Hai Jitna Mujhe Yazeed Ky Zalil Kaamo  Per Hai Aur Jab imam Aali Maqam رضي الله تعالى عنه  Ka Sar Uske Paas Aaya Tu Usne Aapke Dandane Mubarak Per Chadi Maari Hum Sirf Uski is waje Se lanat Per Qana'at Nahi karte{ Balki Usse Aur Bhi Khuch Kehte Hain} Halanki Imam Hussain رضي الله تعالى عنه Ky Qatal Se Yazeed Ka Maqsad Pora Hogaya Tha Lekin  Ye Uski Jahiliyat Ky Sath  Hasad Wa Keena Ki Dalil Hai Jaisa Ky Usne Kaha Tha : Kash Ky Mere Badar Wale Buzurg Aaj Maujod Hote Tu Dekhte Ky Main Ne Muhammad ﷺ ki Aulad رضوان الله تعالى اجمعين Se Aaj Badar Ka Kaisa Badla Liya Hai"*


📙Al Radu Alal Mutassab ul Unaid Almane Min Zamm Yazeed 📖 Page 63,64


📚SCAN PAGE 


DALEEL 6⃣


Imam Suyooti (Rh.) Waqiya Karbala Bayan Karne Ke Baad Likhtey Hain...


Imam Jalaluddin Suyuti Yazeed pe laanat ke jawaz me likhte hain:

.

Aap (Imam Hussain RadiAllaho anhu) Shaheed kiye Gaye. Aur Apka Sar Mubarak Ibn Ziyad ke samne Plate Mein Rakha Gaya. ALLAH ki Laanat Ho Apke Qatilo Pe Aur Ibn Ziyad wa Yazeed Par Bhi Ho.


[As-Suyuti in Tarikh ul Khulafa, Page No. 165]


📚Scan page


DALEEL 7⃣


Shah Abdu Haq Muhadees Dehlvi Rehmatulla Alahy Apne Kitaab Takmeel Al Iman Par


Lilhte Hain

Yazeed Khuda Ka Dushman Hain Sharab Nosh Hain, Zaani Hain, Faasiq Hain, Is Yazeed Badbakht Ne Jo Karname Sar Anjaam Diye Hain Umaat e Rasool Mein Se Kisi Ne Na Ho Sake Shadat e Hussain Radiallahu Talaa Anhu Aur Ahle Bait Se Farig Ho Kar Is Badbakht Ne Madine Par Hamla Ki Aur Is Muqadas Sher Ki BeHurmat Ke Baad Ahle Madina Ke Khoon Ke Haath Se Ranghe Ashab e Rasool Or Tabayeen Iski Sego Sitaam Ki Nazar Hogaye Madine Munawara Ke Baad Makke Mukarama Ke Tabayi Ka Hukum Diya Aur Abdula Bin Zubair Radiallahu talaa Anhu Ke Shadaadat Ka Zimmedar Thera Aur Inhi Halaat Mein Yazeed Paleed Ruksaat Hogaya


📚Scan Page


DALEEL 8⃣


KHUTBAT O MAQALAT WAHABI SYED ABU BAKAR GHAZANAVI 


Likhte Hain Yazeed Ke Ishaare Par Hi Imam Hussain Radiallahu Talaa Anhu Ki Shadaat Hui


📚Scan Page



All scan pages👇









Friday, 29 July 2022

Aqamat ke waqt baithna chahiye. | Hanfi Namaz

 Dalil Ahle Hagiso Ke Ghar Se. 



۩ Hafiz ibn Hajar ne likha hai, “Aksar ka ye mazhab hai ki agar Imam Masjid me Maujud ho toh log Iqamat khatam hone se pahle khade na ho.”



Fath ul-Bari, 2/120.


۩ Imam Tirmizi farmate hai, “Aur baaz ne kaha: Jab Imam masjid me ho aur namaz ki iqamat ho jaye to log us waqt khade honge jab iqamat kahne wala "Qad iqamatis salaah" kahe aur yahi qawl Abdullah bin Mubarak ka hai.” 


Sunan Tirmazi: 592.


Imam Tirmizi ne Abdullah bin Mubarak r.h. ke jo aqwaal sunan Tirmizi me naqal kiya hai, inki sahih sanad apni kitab Al-Ilal (as-Sageer) me zikr kar di hai.


Dekhye ص ا, dusra nuskha ص٨٨٩, matbua'a darus'salam Sunan Tirmizi.


۩ Imam Ahmad bin Hambal ne farmaya: “Agar Imam Masjid me ho to log us waqt khade ho jab woh (iqamat kahne wala) "Qad iqamatis salaah" kahe. Imam Ishaq bin Rahwayh ne is ki mukammal ta'eed farmayi.”


Masail Ahmad wa Ishaq, rawayatu Ishaq bin Mansoor Al-kosaj, 1/127-128, sentence-179.


۩ Imam Abu Bakr bin Ibrahim bin al Manzar al nisaburi r.h. ne farmaya: “Agar imam masjid me inke sath ho to jab woh khada ho log khade ho jaye aur agar wo imam ke baahar aane ka intzar kar rahe hai toh jab use dekhe khade ho jaye, aur agar use na dekhe to khade na ho. Is ki daleel (Sayyedna) Abu Qatada r.a. ki hadees hai.”


Al Usat nuskha jadeeda, jild-4, safa-188.


Marfoo ahadees aur in aasaar ko madhhe nazar rakhate hue arz hai ke jab iqamat kahi jaye yani 'Qad iqamatis salaah' ke alfaz padhe jaye toh log namaz padhne ke liye khade ho jaye, aur agar Imam ya iqamat kahne wale ke sath khade ho jaye (ba-shart ye ke Imam masjid me maujud ho) to ye bhi jaiz hai. وﷲ اعلم.


- Shaykh Zubair Ali Zai, Al Hadith - 85, page


Dalil deoband Tablig jamat Ke Kitab Se. 


Akamat ke shuru me baithna deoband ke bahot bade alim se sabit.


Muallif

*Maulana muhammed rafiyat qasimi*

*Darul ulum madrasa e  deoband*


Kitab 👇🏻

*Masail e rafayate qasmi*

*Masail e imamat*

*Page. no 125*


Scan page. 👇🏻




Aqeeqa | Aqeede ki dua

Ladka / Ladki k aqeeqe ki Dua.